Xclusive Splash's: Jawan Movie Review- My View Point, Rocky Aur Rani Ki Prem Kahaani- My View Point ! Pathaan Movie- My View Point,Tamasha Movie: My View Point; !

Tuesday, July 5, 2011

Canteen Ki Mej-Story by Neelesh Misra

Neelesh Misra

Oye Yaad hai Canteen ki mej kitna hilti thi,
Mujhe roj lagta tha, kahi uske dupatte pe Chai na gir jaye.
Adrak ki chai use bhi pasand thi,Mujhe bhi.
Meri kavitaaye use bhi pasand thi,Mujhe bhi.
Kitne ghamandi ho tum,kehti thi,phir hasti thi,
Kohre ke din uski hasi aur bhi khoobsoorat lagti thi.
Class me mere bagal me baiththi thi,central library mere saath jaati thi,
aur ye ashoka the great to jaise pen friend ho uska,history vistory sab jaanti thi.

Ladke use impress karne ke liye cigarrete ke challe banate the,
wo kehti-ladke itni cigarrere kyu peete hai,
mai kehta-boss, unke aur cancer ke beech aane wala mai kaun hota hu.

Uske dil me kya hai yeh kabhi jaan nahi pata tha,
lekin mere dil me kya hai,iski headlines roj usko milti thi.

Main usse kehta,kabhi diwali pe hum ek saath ek hi chat pe diye jalaenge.

Main kehta, kabhi tumhe apne saath rudr prayag le chalunga,
waha ek chota sa mandir hai,chori se shaadi kar lenge.

Main kehta,tumhe andaaza hai ,
meri maa tumhe is laal bindi me dekh ke kitna khush hoki.

Main kehta,college me koi 10 20 saal lamba course nahi hota kya?
Saath me admission le lete......

You can Listen the Story in the voice of Neelesh Misra Here


1 comment:

  1. Kabhi kabhi kahaniyan itni khubsurat hoti hai ki unke samne tarif karne k liye shabd kam pad jate hai.aur usse bhi jyada apki awaj ise khubsurat bana deti hai.aapki har kahani me har insan ki zindgi k kuch aham pehlu chupe hote hai jo ise aur jyada realistic bana dete hai. Mai to 1st season se apki kahani sunti hu. Aaj v yad hai wo pehli kahani maine pehli dafe 9 baje suna. Aur aaj tak ye nau se das ka time kisi aur chij ko nai de payi.

    ReplyDelete

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...