Xclusive Splash's: Jawan Movie Review- My View Point, Rocky Aur Rani Ki Prem Kahaani- My View Point ! Pathaan Movie- My View Point,Tamasha Movie: My View Point; !
Showing posts with label Rewind. Show all posts
Showing posts with label Rewind. Show all posts

Sunday, July 10, 2011

Takleef Achi Lagti hai-Story By Neelesh Misra-Band Called Nine

Neelesh Misra


2 Baar chodd ke chali gayi mujhe,
Kya matlab hai iska yaar.
Maana dus bees safed baal aa gaye,
Maana pet flat nahi raha,
Maana husn me thodi si kami aa gayi hai,
Par,Second chance to banta hai na.

Protectively,Main apna naya visiting card,
use samundar ke kinare deke aa gaya.
Usme mera daftar ka address hai,phone number hai,
E-mail address hai,Pin Code hai,Fax number hai,
Kya pata koi hint le le,
Kya pata mind change ho jaye.
Aur agar mind change na ho,

To, kya karu,
Cigarette Sharab to peeta nahi,
Har fikr ko dhue me to udaa sakta nahi,
Haa,kuch aur sad songs likh ke bhadaas nikal lunga.

Yaar!!Hum toote dil aashiqo ki yahi problem hai,
Rote bahut hai,
Takleef achi lagti hai,
Gurudutt ke fan hai,
Devdaas ke chele.

Maine dil se kaha,
Dhoond lana khushi,
Na-Samajh laaya ghum,
To yeh ghum hi sahi.

Jao!!Jao hum na-samajh hi sahi...

You can hear the story in the voice of Neelesh Misra Here





Saturday, July 9, 2011

Shayad Main Rishto Ke Liye Bana Hi Nahi-Story By Neelesh Misra-Band Called Nine

Read previous Stories before reading this one-
Canteen ki Mej; Pyar ka Monsoon; Hamare Jhagde; Mai koi Mohabbat Ka; Aakhir Shaadi ka
Neelesh Misra


Hai na Ajeeb se,Majedaar si meri Zindagi.
Na hum Ek Saath reh paye,
Aur na ek doosre ke bina.
Ya Shayad Main Rishton ke Liye bana hi nahi.
Shayad main hamesha Sahi tha-Marriage Kills Romance!!
Maar deti hai Romance ko.
Par shayad main khud ko galat bhi Sabit karna chahta tha,
Kaash! Main galat hota.

Kuch Hafto pehle ek common friend ki shaadi me,
Meri dhadkan achanak jaise ruk hi gayi.
Mujhse dus meter door,chaar aur logo se baate karti huyi,
Hothon pe muskurahat liye,aur haatho me Red Wine ka glass pakde huye,
Wo khadi thi.
Aaj bhi utni hi khoobsoorat,
Kajal se saji uski baatooni aankhein,
Aaj bhi wahi karti huyi-
BAK BAK BAK BAK BAK BAK!!
Wahi khanakti huyi hasi,Baal shayad thode chote ho gaye the,
But Still SO BEAUTIFULL!!
Aisa lag raha tha ki jaise hum phir se college me pahuch gaye the,
Aur main usse pehli baar dekh raha tha.

Usne mujhe dekha,
Ek TeenAger ki tarah,phauran Mera haath apne baalo me gaya,
Apne Baal theek karne laga main,
Wo baccho ki tarah has padi.

Us raat hum samundar ke saamne ek coffe shop me 4 ghante baithe rahe.
Purane dosto ki tarah,beete waqto ki baatein ki.
Saath me hase,
Chauthi(4th) baar coffee order kari.
Dhai Ghante baad,Bahut himmat karke,
Maine aakhir puch hi liya-
SHAADI KI?

1 ghanta aur beet gaya,Coffee shop band ho rahi thi,
Waiters kaafi hint de chuke the,
Lights dheere-dheere off ho rahi thi.

Hum nikle aur samundar ke kinare ret par der tak nange paanv chalte rahe.
Uski saaree ka pallu ud ke mere chehre par aa raha tha.
Wo achanak mera likha huya koi purana geet gungunane lagi,
Maine kaha-Tumhe ye abhi bhi yaad hai?
Usne kaha-Mujhe Sab Yaad hai!!

Meri ungliyaan uski ungliyon ko choo gayi,
Usne kuch nahi kaha.
Lambi khamoshi ke baad,Mai Bola-
EK BEWKOOFI BHARA IDEA HAI!!
Usne sir uthake aansuo se nam aankho se mujhe dekhte huye kaha-
TUMHARE SAARE IDEAS BEWKOOFI BHARE HI HOTE HAI!!
Maine kaha-
BHAAG KE SHAADI KAR LE!!
Wo kuch second mujhe dekhti rahi,
Cycle pe coffee bechta ek ladka,Hamare order ka wait kar raha tha,
Wo boli-

Kuch pal khaamosh rahi,
Phir boli-
PYAR AUR SHAADI ME,
FARQ HOTA HAI,
HAI NA!! 

You can hear this fabulous story in the voice of Neelesh Misra Here

Aakhir Shaadi Ka-Story By Neelesh Misra-Band Called Nine

Neelesh Misra

Aur aakhirkaar ek din hamari Shaadi ka Fixed deposit toot gaya.
Wo mujhe chodd ke mumbai chali gayi.
Aakhri baar us ghar me aayi jaha hum dhed saal tak ajnabiyo ki tarah ek chatt ke neeche rahe.

Aaj is rishte me na chatt thi,na deeware,
Bas ek antheen viraana tha,
Jaise bhayanak sardi ki ek raat,jisme yaad ke lamhe,
Snow Flicks ki tarah,
Aasmaan se Dheeme-Dheeme baraste aa rahe the.

Usne laal shaul pehna tha,Kaali jeans,
Aur haatho me wahi purani HMT ki ghadi,
Jo Uske papa ne 1st Division laane par di thi.

Usne kuch Takkaluff bhari baatein kari,
Home Loan,Join Accout,Passport par mera naam,Vakeel ka number,
Wagarah,Wagarah,Wagarah.
Mujhe jaise kuch sunayi hi nahi diya,
Itne lambe waqt tak ek gair ki tarah uske saath rehen ke baawjood,
Shayad main usse pyar karna kabhi khatam hi nahi kar paaya tha.
Aur aaj uski aankhon me talki,itni talki dekh kar laga,
Ki usne shayad mujhse pyar karna kabhi shuru hi nahi kiya.

Main jaanta tha Yeh Sach Nahi tha,
Mai jaanta tha usne bhi mujhse utna pyar kiya hoga.
Wo bhi meri tarah aadhi sahi,aadhi galat rahi hogi.
Lekin jaise pyar andhaa hota hai na,
Waise hi pyar ka na hona bhi andhaa hi hota hai na.

Uski aankhon me thoda sa kaajal tha,Kaajal me thode se aansu.
Mujhe aise laga jaise,
Jaise koi cycle ke chain mere dil pe lapet ke dono taraf se kheech raha ho.

Usne mej pe ghar ki chabiyo guccha bina aawaj ke rakhha,
Maine socha main in dus chaabiyo me ek chaabi ki tarah hi to hu,
Itne saalo baad main bhool gaya hu ki mera darwaaja kaun sa hai.

Maine kaha-Milne Aaogi?
Wo boli-Hum Kuch Galat to nahi kar rahe?

Jab tak main sir utha ke kuch kehta,Wo jaa chuki thi.

6 mahine baad talaaq ho gaya,
3 saal beet gaye,
Ek din main bhi usi train me chadda,
Mumbai me naukri jo mil gayi thi.
Kaun jaane wo kaha thi,
Kaun jaane wo shehar use kaha khaa gaya tha.
Phir se shaadi kar li hogi kya?
Boy-Friend hoga kya?
Jitna pyar mujhko diya,Usse bhi jyada usse pyar karti hogi kya?
Waise hi Baandhni ka Rajasthani Suit pehan ke Laal bindi lagati hogi kya?
Waise hi baarish ko dekh ke Mujhe yaad karti hogi kya?
Abhi bhi purani filmein dekh ke betahasha roti hogi kya?

Ek din achanak Band Stand pe Samandar ke kinare walk karti huyu uski saheli mili,
Boli wo ab bhi yahi hai,
Ab bhi akeli.
Ab bhi Diwaali me tumhe yaad karti hai.
Safaaya college me lecturer hai.
Wahi hostel me rehti hai,Kamra no.27.

Garmi ki dopahar thi,Ek sunsaan college ke ek sunsaan hostel me,
Main kamra no 27 ke saamne khada tha,
Khat-Khataya,Koi nahi tha.
Seediyo par 2 ghante baitha raha,
Phir Visiting card uske darwaaj pe phasa ke aa gaya.
Uspe likha-I CAME,MIGHT RETURN!!
MAI AAYA THA,SHAAYAD WAPIS AAYU.

Phir kabhi wapis nahi ja paaya.
Suna hai kuch saalo pehle usne aakhirkaar,
Visiting Card Jala Diya.....

You can hear the story in the Voice of Neelesh Misra Here

Friday, July 8, 2011

Main Koi Mohabbat Ka-Story by Neelesh Misra-Band Called Nine

Band Called Nine

SPOILER ALERT: Read HAMARE JHAGDE before proceeding Further.

Lekin,Sapna bikhar raha tha,
Agar hamari Shaadi ek fixed deposit thi,
To mohabbat ke bank account se,Kharcha bhi badi teezi se ho raha tha.
Aur jama karne ke liye hamare paas,
Jaise kuch nahi bacha tha.

Aisa lagta tha jaise har roz hum ek doosre ke saath,
Dus-Dus minute kam bitatae the.
Jaise jaise waqt guzra,yun lagne laga ki,
Humne Ek doosre se nahi,Apne Apne bossess se shaadi kar li thi.

Pehle hafte me hum 2 din saath bitate the,
Phir ek,Phir aadha,Phir kuch bhi nahi.
WO apne office me der tak rehti,Mai khana akela khata.
Wo shopping mall saath jaati,Ghanto make-up khareedti,
Aur main bench par akela baitha rehta.
Na hum haath pakadte,Na ek doosre ko din bhar ki choti-choti baatein batate.
Na baarish me lambi drive par jaate.
Na hum dost reh gaye the,aur na husband-wife.
Hum shayad flat mates bhar the,
Jo saath me Tv par,Sci-Fci aur Romantic Comedies dekhte the.
Thodi bahut baat kar lete the,
Aur phir apni apni Duniya me wapis chale jate the.

Waise yaar sirf usi ko kyu blame karu,
Aisa nahi tha ki main koi Mohabbat ka Mother Teressa tha,
Main moodi tha,Jhakki tha,
Kabhi Akelapan pasand karta tha,
Aur kabhi uska saath na hone pae naraz hota tha.
Bikharte huye rishte pe ranj karta tha.
Apni tanhayi se haar raha tha,
Doosro ka saath dhoondne laga tha.

Daftar me 2 -3 ladkiyan thi jo mujhse kuch jyada hi baatein karti thi.
Unse main kuch jyada hi baatein karne laga tha.
Ab to unke saath coffee pe jate huye bhi ajeeb nahi lagta tha.
Wo choti-choti baatein jo main usse karna chahta tha,
Wo lamhe jo uske saath baatna chahta tha,
Ab unke naam likhne laga gaya tha.

Jaise hamari shaadi ka rishta ek rang biranga sweater ho,
jiski oon dheer-dheere udhad rahi thi.
Kabhi khud se naraaj hota tha,
Kabhi usse.
Aksar Guilty Mehsoos karta tha,
Mera ek mann jaise sawaal uthata tha,
Waise hi doosra mann jawaab dene lag jaata tha.
Is shaadi me ab jaise ek hi insaan bacha tha,
EK akela main.

Shayad wo bhi aisa hi mehsoos karti hogi,
Shayad uski bhi kuch Zayaz shikayate hongi.
Shayad wo bhi Akeli hogi,
Utni hi Tanha.

May ka mahina,
Office ke saamne,ek building me ek aurat,
Achaar ke liye nimbu sukha rahi thi.
Maine phone uthaya aur ek number dial kiya.
Maine kaha-
HELLO!!
MAA!!MAIN BOL RAHA HU....

You can hear the story in the voice of Neelesh Misra Here

Thursday, July 7, 2011

Hamare Jhagde- Story By Neelesh Misra-Band Called Nine

Rewind-Nine Lost Memories

WARNING :-Read Further only if you have read the earlier stories-
 CANTEEN KI MEJ And PYAR KA MONSOON

Shaadi ho gayi,Na uske mummy papa shaadi me aaye,Na mere.
Baat dil todne waali thi,unke liye bhi,aur hamare liye bhi.
Raato-Raat jaise kisi pahuche huye karigar ne,
Hum sab ke ird-gird dard ki deeware khadi kar di ho.
Kaash!! Deewar nahi hoti,
Kaash!! Dard ka koi aaena hota,
Kaash!! Hum doosre ke dil ki takleef bhi utni hi shiddat se samajh sakte,
Jitni apni.

Shaadi ka reception ded hajaar(1,500) rupaiye mahine wale,
1 room apartment me 6 dosto ke saath huya.
Zari wali Banarasi Saaree pehne na koi chachi thi,na maami.
Na gusse me tamtamaate huye papa yeh kehte ki-Abhi Tak Tent Wala Kyu Nahi Aaya?
Na badi badi Dulha-Dulhan ki kursiyaan.
Na Sangeet,Na Dholak,Na Shehnaayi.
Aur boss,Catering ke naam pe Bas dher saari Biryaani,Shahi Paneer aur Coca-Cola.

Sharab me happy drunk ek yaar ne kaha-GURU,Teri Life ka Fixed Deposit to ho gaya,
Mera to Abtak account hi nahi khula.

2 saal beet gaye,Hamare account me bhi kuch paise aa gaye the,
Maruti le li.
Promotion huya,Mobile phone bhi mil gaya daftar se.
Phir ek chota sa-khoobsoorat sa-apna sa ghar khareed liya.
Diwali pe greh-pravesh huya.
Mummy papa ki kami bahut mehsoos huyi,
Par phone utha ke wo ek number dial nahi kar paya.
Gusse me,Gusse me hum kitne battameej ho jate hai,Nahi.
Aur Naraajgi aur Ego,Rishtoo ke sabse bade dushman hote hai Na.

Naraajgi aur Ego hum dono ke beech me bhi aane lagi thi,
Wo mujhe aksar yaad dilati thi ki,
Usne mere liye sab kuch chodd diya tha.
Mai palat ke kehta-Afsos kar rahi ho kya?
Wo BomBay wala Rishta hi acha tha,Yahi soch rahi ho kya?
Wo kehti-Maine tumse jyada negative insaan aaj tak nahi dekha.
Kya tum din-bhar jhagadne ke naye naye bahane sochte rehte ho,
aur shaam ko mujhpe try karte ho.

Par Hamare Saare Jhagde Expiry Date ke saath aate the,
Wo ladti,Darwaaja Slam karke chali jaati,
Main ghanto gusse me,apne kop-bhavan me,
Computer ke saamne baitha rehta.
Phir dheere se,doosre kamre me usko Sms karta-
I AM SORRY BABY!!

Wo aati, halke se muskurati,aur peeche se mujhe thaam ke kehti-
ULLU!!
Yeh sach tha,hamare beech chahe jitne darwaaje slam huye ho,
Uske baawjood bhi,main abhi bhi wahi tha-
Usse roottha,use manata,der tak uske sang jaagta.
ULLU.
You can hear the story in the voice of Neelesh Misra Here

Wednesday, July 6, 2011

Pyar ka Monsoon-Story by Neelesh Misra from Rewind-Band called Nine

Neelesh Misra

Mujhe  Badi Shikayat thi,Maine to bhaiya usse keh diya,
Tumhari aankhein baatein bahut karti hai,Bak Bak Bak Bak Bak Bak.
Wo kehti-Jyada Mat bolo,Jis aankhein rooth gayi,tumse katti kar li,us din pata chalega.

Pyar ke din the,Pyar ki dophare,Pyar ka Monsoon
Pyar ka january,Pyar ki Sardiyaan.

Yaar,Kabhi Kabhi lagta hai jaise yeh sardiyaan bas aashiqon ke liye bani hai,.
Wo shaul me lipti,kajal se saji aankhon se mujhe ek-tak dekhti.
Thand me kap-kapati ungliyon se garam chai ka pyala aur zor se pakadti.
Hawa ke har jhonke par thithurti,
Sard kaapte hothon se garam dhuan nikalti.
Purani khidki pe khade hoke der tak meri raah dekhti.

Monalisa se kam kaha thi wo,
Hasi majak,chedd ke din,Ab guzar gaye the.
Ab hum hanger se ladayi nai karte the,
Ab hum dosto ke sath baith ke,
Mej ke neeche chori se paer ke anghuthe chuaane ki koshish nai karte the.
Ek dusre ko ULLU keh ke dhakka nahi dete the.

Lagta tha jaise ki achanak hum bade ho gaye the.
Main achanak uske sharmeele haathon ki chuan padhne laga tha.
Mai achanak yeh jaanne laga tha ki,
Bata ke canvas shoes pehan ke mere darwaaje par sehmi sehmi dastake kiska pata poochti hai.
Main achanak uski baatuni aankho ki khoobsoorat khamoshiyan padhne laga tha.

Jaruri bhi tha,aakhir wo khud kuch kehti hi kaha thi.

Din guzarte gaye,Dil ka rasta lamba tha,to padav bhi badhte gaye.
2 musafir milte the,
Kabhi greeting card ki dukan pe,
Kabhi lote wale ke yaha dahi-jalebi khaate huye,
Kabhi post-office me stamps lene ke bahane,
Kabhi raashan ki dukan pe,cheeni lene ke bahane,
Kabhi black me ticket leke vishal theatre me,balcony ki seat pe.

Film ke beech me,ek din mere kandhe pe sir rakh ke wo rone lagi,
Boli phir se ek rishta aaya hai.
Main sunta raha.
Interval me maine kaha-Yaar ek bewkoofi bhara idea hai,
Usne sir utha ke aansuo me nam aankhon se mujhe dekhte huye kaha-
Tumhre saare ideas bewkoofi ke hi hote hai.

Maine kaha-Bhaag ke Shaadi kar le,
Wo kuch second mujhe dekhti rahi.
Peeche campa-cola wala order ka intezaar kar raha tha.
Boli-Tumhara yeh aaj tak ka sabse bewkoofi bhara idea hai.

Boli-Kaathgodaam ki bus 5 baje jaati hai,
Aur waha se Delhi ki train saade nau(9 30) baje.

PURI FILM BHI NAHI DEKHNE DI USNE

You can hear the story in the voice of Neelesh Misra Here


Tuesday, July 5, 2011

Canteen Ki Mej-Story by Neelesh Misra

Neelesh Misra

Oye Yaad hai Canteen ki mej kitna hilti thi,
Mujhe roj lagta tha, kahi uske dupatte pe Chai na gir jaye.
Adrak ki chai use bhi pasand thi,Mujhe bhi.
Meri kavitaaye use bhi pasand thi,Mujhe bhi.
Kitne ghamandi ho tum,kehti thi,phir hasti thi,
Kohre ke din uski hasi aur bhi khoobsoorat lagti thi.
Class me mere bagal me baiththi thi,central library mere saath jaati thi,
aur ye ashoka the great to jaise pen friend ho uska,history vistory sab jaanti thi.

Ladke use impress karne ke liye cigarrete ke challe banate the,
wo kehti-ladke itni cigarrere kyu peete hai,
mai kehta-boss, unke aur cancer ke beech aane wala mai kaun hota hu.

Uske dil me kya hai yeh kabhi jaan nahi pata tha,
lekin mere dil me kya hai,iski headlines roj usko milti thi.

Main usse kehta,kabhi diwali pe hum ek saath ek hi chat pe diye jalaenge.

Main kehta, kabhi tumhe apne saath rudr prayag le chalunga,
waha ek chota sa mandir hai,chori se shaadi kar lenge.

Main kehta,tumhe andaaza hai ,
meri maa tumhe is laal bindi me dekh ke kitna khush hoki.

Main kehta,college me koi 10 20 saal lamba course nahi hota kya?
Saath me admission le lete......

You can Listen the Story in the voice of Neelesh Misra Here


Sunday, July 3, 2011

Lyrics Of SHAYAD from Rewind-Nine lost Memories:Band Called Nine(Neelesh Misra))

SHAYAD is a song that finds a special place in my heart from the day I have heard it.The song is very well written by the New-Era-Gulzaar named NEELESH MISRA.You will fall in love with this song in just one hear.Here are the Lyrics of the most searched song on Net.

Shayad hum tum Masroof the,Shayad tumse kuch waqt se.
Shayad hai kuch jo na keh sake,
Ki tum na ho to hum adhoore.
Shayad hum tum Masroof the,Shayad tumse kuch waqt se.
Shayad hai kuch jo na keh sake,
Ki tum na ho to hum adhoore.

Tum jo hasi,Dil has diya,
Tum bin hai din,Khaali mera.
Tum sang ho,Koi gham kaha,
Tum ho to phir,Kuch kam kaha.
Shayad.....

Aksar main tumko, Khaamoshi me sunu,
Tum kaho choti choti, din bhar ki kahaniyaa.
Aksar sharma jaati hu abhi aaj bhi,
Tumne jo khoobsoorat mujhko hai keh diya.
Shayad kehti nahi wo jo hai ankaha,
Shayad main sochti hu Tumne sun liya.

Tum jo hasi,Dil has diya,
Tum bin hai din,Khaali mera.
Tum sang ho,Koi gham kaha,
Tum ho to phir,Kuch kam kaha.
Shayad.....

Tum hi Subah ho,Makhmali dhoop ho,
Tum ho to,Door jaye,Gham ki parchayiaan.
Tum sang udta hu,Yaadon ke aasmaan,
Chale leke andhero me,Khwaaboon ki kashtiyaan.

"Kal Khwab dekha Tanha Tanha Ro Diya,
Shayad darta hu main,Tumko Jo Kho Diya."


Tum jo hase,Dil has diya,
Tum bin hai din,Khaali mera.
Tum sang ho,Koi gham kaha,
Tum ho to phir,Kuch kam kaha.
Shayad.....
You can Listen the song HERE



Wednesday, May 18, 2011

Unka Khayal(neelesh misra) lyrics-A song that takes u back in the era of jagjit singh

Unka Khayal aate hi,ek aur khayal aaya..
Muddat huyi hai yaar ka,koi na haal aaya..
Unka khayal aate hi....

Saawan me rut na barsi,na basant phool laya..
Tere pyar me tere bin,aisa bhi saal aaya..
Unka khayal aate hi..

Chahoge bhi to mujhko ab dhoondh na sakoge..
Maazi(past) ki qaid me main khud ko sambhal aaya..
Unka khayal aate hi..

Tasveer dekhta hun har roz main tumhari..
Kya tumko bhi kabhi yun mera khayal aaya..
Unka khayal aate hi..

Jitne bhi khat likhe the shikve shikayaton ke..
Mai aaj subah tere darwaaje daal aaya(wow)..
Muddat huyi hai yaar ka,koi na haal aaya..
Unka khayal aate hi ek aur khayal aaya..

You can listen this masterpiece here

Its a kind of composition which one needs to listen with an adrak ki chai,looking outside the window on a rainy evening.

Monday, May 16, 2011

Dil Raffu-Awsum Lyrics by neelesh misra

Decades ago the songs used to say"Ye raatein ye mausam nadi ka kinara ye chanchal hawa".After that there was an era of GULZAAR's writing.Now rarely he writes songs(1 out 20 movies),only vishal bhardwaj uses the work of gulzaar in his movies at present(raat ke dhai baje,koi shehnai baje-only gulzaar can write such lines).One thing that makes gulzaar sahab's writing strike is SIMPLICITY and using the words that we use in our day-to-day gossips.
The songs of SAATHIYA(combination of A.R.REHMAN and GULZAAR-"DEADLY") finds a special place in my directory due to the soulful lyrics.There is a song in the movie called Chupke se having lyrics like "FEBRUARY KI SARDIYO KI DHOOP ME,MOONDI MOONDI ANKHIYON SE DEKHNA"..only one word comes in my mind"wow".

After a long long time I heard lyrics which reminds me of early days of gulzaar writings, and the one person who has the capability to compete with gulzaar(not actually) is Neelesh Misra,his writing skills has the same simplicity[listen I Am in love-Once Upon a Time in Mumbai,Maine dil se kaha dhoond lana khushi-Rog].I feel lucky to be born in era where legends like gulzaar and people like neelesh misra exists.Here is a recent song from the album REWIND by neelesh misra-

Dil raffu raffu jaake karwana re...raffu raffu kaise hoye-2
Chindi chindi kar gaya jaana gham ki kainchi(scissor) leke..
Bhatt se mere dil se nikla wo atechi(suitcase) leke..
Dil ka darji koi to mile,dhoondoo gali gali..
Dil raffu raffu jake karwana re..

Suna hai dil ke daftar me baabu so gaye..
Suna hai ki love letter chapne band ho gaye..
Raato me jo khat likhte the,kho gaye,SMS ho gaye..
Suna hai ki mud ke phir na laute jo gaye..
Pyar ke suyi dhaage wo hai leke bhaage..
Dil ka darji koi to mile,dhoondhoo gali gali..
Dil raffu raffu jake karwana re.....

Kabhi kahi postman dekhu,tumhari yaad aaye..
Kabhi koi khatkhataye to lage tum aaye..
Koi nahi aa chajje pe,tu hai kya darwajje pe..
Kal dopahri tujhse milne aayi kachehri(court)..
Kharij kar di ishq ki arji..
Dil ka darji koi to mile,dhoondho gali gali ..
Dil raffu raffu jake karwana re..raffu raffu kaise hoye..

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...