Xclusive Splash's: Jawan Movie Review- My View Point, Rocky Aur Rani Ki Prem Kahaani- My View Point ! Pathaan Movie- My View Point,Tamasha Movie: My View Point; !
Showing posts with label Lyrics. Show all posts
Showing posts with label Lyrics. Show all posts

Tuesday, August 30, 2011

Musik Bandh Na Karo Lyrics-Hum Tum Shabana

Raat ka aakhri gaana,
Ho kudiyon jamke saath nibhana..
Dhoondo re dhoondo bahana,
Ke yaaro hum ko toh Ghar nahi jaana..
Ruk jaye sanse ,Na ruke tere pair,
Nachle tu yaar jaise,You don’t freaking care.
Ab chahe yeh raat beet jaye,
Ye music bandh na karo..
Chahe sara shehar jag jaye,
Ye music bandh na karo..
Ab chahe yeh raat beet jaye,
Ye music bandh na karo..

Jeena hai befikar,Kal ki kise khabar,
Chahe koi roke,Keep the party going on.
Mauke ki hai ye raat,Pyari ki hogi baat,
Chahe koi toke,Keep the party going on.
Ruk jaye sanse,Na ruke tere pair,
Nachle tu yaar jaise,You don’t freaking care.
Ab chahe yeh raat beet jaye,
Ye music bandh na karo..
Chahe sara shehar jag jaye,
Ye music bandh na karo..
Ab chahe yeh raat beet jaye,
Ye music bandh na karo..

Listen to the beat track,
This party going non stop,
The music makes me crazy,
So large bana de baby,
Am gonna dance n moving,
Gonna get it grooving,Aaj puri raat hai party
Coz aaj raat hai no curfew.

Jispe teri nazar,Uspe meri nazar,
Mujhse rehna tu zara,bachke meri jaan.
Pal mein hogi meri,Joh khwaaish hai teri,
Meri hi bahoon mein,Woh aayegi meri jaan.
Yaara bhula de tu,Dil ke saare bair,
Nachle tu yaar jaise,You don’t freaking care.
Ab chahe yeh raat beet jaye,
Ye music bandh na karo...
Chahe sara shehar jag jaye,
Ye music bandh na karo...
Ab chahe yeh raat beet jaye,
Ye music bandh na karo...

Sunday, August 7, 2011

Mere Brother Ki Dulhan-Title Song Lyrics

Mere brother ki dulhan, brother ki dulhan, Mere brother ki dulhan, brother ki dulhan,

Matrimonial si aankhe, sabko ab taake jhaake,
Matrimonial si aankhe, dhoondhe re chehre baanke.

Sundar ho susheela, rang chandi sa chamkeela,
Degree bhi ho, fashion bhi jaane.

Ho Seeta jaise naari aur jaane duniya-dari,
Piya ko sab kuch hi woh maane.
Dil se Dilli ho woh dhadkan se ho London,

Dhoondoon mein dhoondoon, mere brother ki dulhan.
Matrimonial si aankhein, sabko ab taake jhaake
Matrimonial si aankhein, dhoonde re chehre baanke.


Mohabbat ki ho woh Google,Jo dede har question ka hal,
Nazr ke ek hi click se..
Soniye..
Walk pe sunti ho gaane,Brother ko khush karna jaane,
Jo sabke dil mein Dua si base..


Model ho world best,Par mitti ho Indian.
Dhoondoon mein dhoondoon, mere brother ki dulhan.
Matrimonial si aankhein, sabko ab taake jhaake,Matrimonial si aankhein, dhoonde re chehre baanke.


Kaam mein jo na ho lazy,
Ho jis mein 3G ki tezi,
Aur ho shauq si ada.
Relation samjhe jo ladki, rahe na ego mein bhadki,
Jo laaye good luck hi good luck sada.
Hai toh responsibility, phir bhi iss mein Fun,
Dhoondoo main dhoondoo, mere brother ki dulhan.

Do Dhaari Talwar Lyrics-Mere Brother Ki Dulhan



Nain kataari
Aisi maari
Tann mann sulga
Tadpan bhari
Ishq lahoo ka
Jab dil se utre
Dheere dheere
Chadhe khumaari
Khaali jaye,Na tera vaar,
Naino se Karti hai shikar,
Tu do dhari Talwaar yaar.
Tu do dhari Talwaar yaar.
Kaate toh,Karde rangdaar,
Tu do dhari Taalwaar yaar.
Tu do dhari Taalwaar yaar.
Tu toh thodi meeti,Thodi si hai zeherili re,
Jaise garmi ki ho,Tapti duphari re.
Haule se mere dil pe,Tu halla re,
Ho teri taarifein karta,
Mohalla re,
Zaalim hai tera,Har sringaar,
Naino se Karti hai shikaar,
Tu do dhari Taalwaar yaar.
Tu do dhari Taalwaar yaar.
Baar baar,Tera laksh laksh ho,
Raksh Raksh mein,
Jalwaa tu dikhaaja.
Aaja ja..

Mohabbat ki tu,Whisky dila,
Dede chahat ka,Tu sila
Aaja ja..
Aaja ja..
Ho nachta khat,Mein toh lakhon gira doon
Saare arish waale,Dharti pe laa doon.
Main hoon hussan,
Mujhse bachke hi rehna,
Main hi mukaddar,
Bana doon mita doon.
Tu agar na banaa,Mujhe appna bana
Ab asie tamashaa bana na.
Teri minnat karoon,
Teri khatir maroon,
Teri durr ke siwa,
Na thikaana,
Tu toh thodi meeti,Thodi si hai zeherili re,
Jaise garmi ki ho,Tapti duphari re,
Haule se mere dil pe,Tu halla re,
Ho teri taarifein karta,Mahualla re,
Ho baatien hai,Meri hathiyaar,
Haye naino ka,Karti hoon shikaar.
Main do dhari Taalwaar yaar.
Main do dhari Taalwaar yaar.
Ha..chahat meri,
Badi mehngi padegi,
Naagin nazariya,
Jab jab ladegi,
Jee na sakoge,
Tum mar na sakoge,
Banke zehar yun,
Mohabbat chadegi.
Teri hasrat hui,Meri aafat hui,
Tere bin hoga,Ab na guzaara,
Tere saare sitam,Tere saare zulam,
Kandi hadi mujhe,Hai gawaaraa.
Tu toh thodi meeti,Thodi si hai zeherili re,
Jaise garmi ki ho,Tapti duphari re,
Haule se mere dil pe,Tu halla re,
Ho teri taarifein karta,Mahualla re.
Ho rehne de,Tu yeh ikraar.
Haye naino ka,Karti hoon shikaar.
Main do dhari  Taalwaar yaar.
Main do dhari Taalwaar yaar.
Tu do dhari Taalwaar yaar..

Madhubala Lyrics-Mere Brother Ki Dulhan

Sir ghoome chakkar khaye,
Dil dil se takkar khaye,
arey main khoya ki tu,
Kho gaya..

Jo naa hai dikhta jaye,
Jo hai woh dikh na paye,
Arey aankhon ko yeh Kya ho gaya.
Ho bin chabi khul jaye,
Masti ka taala.
Chorri lage joru,Jora lage saala.
Panghat pe naache,
Ha panghat pe nache,
Nache re nache madhubala..
Panghat pe nache,Nache re nache madhubala..
 
Dil ke hai Chakke choote chokre,
Latkon jhatkon se Ab na rok re.
Haan tu toh naino Mein mere chaa raha,
Chutti tujhko,Tu chaye jo kare.
Ab akal akeli hatke re,
Dil sadak sadak,Sir patke re,
Yeh baar baar hi,
Tujhpe atke re beliya.
Hoo dil ne chahat ka,Sikka aisa uchala,
Sabke galon pe lage,Mukjhlo til kaala.
Panghat pe naache,
Ha panghat pe nache,Nache re nache madhubala.
Panghat pe nache,
Nache re nache madhubala.

Arey thak gaye kya?
Arey bhaiya UP aaye,
Aur saala dhol nahi bajaa,
Toh kya khaak UP aaye!!
Ooo bhaiya raaja,
Bajega tera baaja,
Banega dulha raaja,
Tu aaja jaldi aaja piya..
Ho bin chabi khul jaye,
Masti ka taala.
Chorri lage joru,Jora lage saala.
Panghat pe naache,
Panghat pe panghate pe
Ha panghat pe nache,Nache re nache madhubala.
Panghat pe nache,Nache re nache madhubala.

Madhubala..
Madhubala..
Madhubala..
Madhubala..

Isq Risk Lyrics-Mere Brother Ki Dulhan



Koi bole daariya hai..
Kaisa kaisa hai isq.
Koi maane sehra hai..
Kaisa kaisa hai isq.

Koi sone sa tole re,
Koi maati sa bole re,
Koi bole ke chandi Ka hai chura.
Hota aise yeh mauke pe,
Roka jaye na roke se,
Acha hota hai,Hota hai yeh bura.
Kaisa yeh isq hai..
Ajab sa risk hai..
Kaisa yeh isq hai..
Ajab sa risk hai..
Kaisa isq hai..
Kaisa isq hai..
Kaisa isq hai..
Mushkilon mein yeh daale,
Jo bhi chahe kara le,
Badle yeh, dilon ke faisle.
Mann ka mauji,isq toh ji,
Albeli si rahon pe le chale.
Koi peeche na aage hai,
Phir bhi, jaane kyon bhaage hai,
Maraa isq ka, isq ka dil mera..
Iske uske yeh hisse mein,
Tere mere yeh kisse mein,
Maula seekhe bin, seekhe bin de sikha..
Kaisa yeh isq hai..
Ajab sa risk hai..
Kaisa yeh isq hai..
Ajab sa risk hai..
Nania laage, toh jaage,
Bina dori ya dhaage,
Bandhte hai do naina,Khwaab se.
Na ataa ho, na pataa ho,
Kore naino mein,Koi aa basse.
Iska uska na iska hai,
Jane kitna hai kiska hai,
Kaisi bhasaa mein, bhasaa mein,
Hai likha..
Iske uske yeh hisse mein,
Tere mere yeh kisse mein,
Maula seekhe bin, seekhe bin de sikha..
Kaisa yeh isq hai..
Ajab sa risk hai..
 Kaisa yeh isq hai..
Ajab sa risk hai..

Choomantar Lyrics-Mere Brother Ki Dulhan

Oh baby oh baby..
Oh baby oh baby..
Choomantar..Choomantar..
Choo..mantar ho,
Aa ja chal gum ho jaye.
Choo..mantar ho,
Khud se hi khud kho jaye.
Choo..mantar ho,
Nazron mein hum na aaye.
Dhoonde jahan,Hum bhi na jane,
Hum hai kahan,Choole zameen se,
Woh aasaman..
Chal oh re oh re oh re..
What is wrong?
Let me look..
Oh baby oh baby..
Oh baby oh baby..
Are you Ready for this,Are you ready for this..
Choomantar..


Thodi si yaari yaara,Rahon se nibha le.
Apne pe bhi toh kabhi,Apni chala le.
Hum chale kahin,Awara hokar naape zameen.
Hum dhoondhe kahin,Kuch aisa jo khoya hi nahin..
Choo..mantar ho,Aa ja chal gum ho jaye.
Choo..mantar ho,Khud se hi khud kho jaye.
Choo..mantar ho,Nazron mein hum na aaye.
Choomantar..
Palkon ki daali pe Jo sapne lage hai,
Khwaishon ki garmi se Woh pakne lage hai.
Haaa ruko zara,Dekhe toh kya Hai yeh majra.
Haaa sabhi tarah,Khwaishon se hai,Yeh dil bhara.

Choo.. mantar ho,Aa ja chal gum ho jaye.
Choo.. mantar ho,Khud se hi khud kho jaye.
Choo..mantar ho,Nazron mein hum na aaye.
Dhoonde jahan,Hum bhi na jane,
Hum hai kahan,Choole zameen se,
Woh aasaman..
Chal oh re oh re oh re
What is wrong?
Let me look..
Oh baby oh baby
Oh baby
Oh baby oh baby
Choomantar..
Choomantar..
Choomantar..
Choomantar..

Dhunki Lyrics-Mere Brother Ki Dulhan

O malang hua,Dil ye mera.
Hai mast malang hua,Dil ye mera..

Ishq fikar da chatte balla,
Mauj karda ho ke jhalla jeeve...
Ishq mein dil na,Hoyea fakeeri.
Maange sab ki,Khair sukayya, jeeve...
Gira deewareee...
Laga lalkareee...
Ishq di masti de Vich sone de jaage..
Dhunki dhunki dhunki laage..
Dhunki dhunki dhunki laage..

Ladla dil ko har bashar,
Ishq tha changa hai asar,
Karle kud se hi pyaar bandhe aa.
Hey jahan ki tujhko khabar,
Kud se hai par tu bekhabar,
Lela apni jaa saare bandhe aa..
Gira deeware…
Laga lalkare..
Ishq di masti de Vich sone de jaage...
Dhunki dhunki dhunki laage….



Tu hawa Paani aag hai,
Tu daga Daani daag hai,
Jo bhi chave tu...Ban jaave... Re...
Hai bana Mera Dil khuda,
Hai khuda Kab mujhse juda,
Khudko dhoonde Toh ussko pave re...
Gira deeware...
Laga lalkare...
Ishq di masti de Vich sone de jaage...
Dhunki dhunki dhunki laage..
Dhunki dhunki dhunki laage...
Dhunki dhunki dhunki laage...
O malang hua Dil ye mera,
Hai mast malang hua dil ye mera...

Wednesday, July 27, 2011

BodyGuard-I Love You Song Lyrics

Dil ka yeh kya raaz hai,Jaane kya kar gaye.
Jaise andhero mein tum,Chandani bhar gaye.
Kare chaand taaron ko mash-hoor itna kyun,
Kambakht inse bhi khoobsoorat hai tu.

I Love you tu ru ru...
yeah....
I love you
tu ru ru....
I love you hoo ooo..

Din bhar kare baatein hum,
Phir bhi lage ,Baatein adhoori aajkal.
Mann ki dehleezon pe,Koi aaye na,
Bas tum zaroori aajkal.

Abr main hoon,tu aasmaan hai,
Paas hai tu, Par kahaan hai.
Zidd meri tu nahi, Meri aadat hai tu..
I love you...

Kabhi kabhi main khud se hoon yeh poochhta,
Main tere qaabil bhi hoon kya.
Itna toh mujhe hai maaloom,
Milke tujhe,behtar main insaan ban gaya.
Thoda thoda ,Tujh se seekha, Pyar karne ka tareeka,
Dil ke khuda ki mujh pe inaayat hai tu.

I love you....
Dil ka yeh kya raaz hai,Jaane kya kar gaye.
Jaise andhero mein tum,Chandani bhar gaye.
Kare chaand taaron ko mash-hoor itna kyun,
Kambakht inse bhi khoobsoorat hai tu.

I Love you oo..
I Love you oo..
I Love you....



Lyrics of Other songs from BodyGuard:

BodyGuard-Tera Meri Prem Kahaani Song Lyrics

Teri meri, meri teri ,prem kahani hai mushqil,
Do lafzoon mein yeh bayaan na ho paaye.
Ik ladka ,Ik ladki ki yeh kahani hai nayi,
Do lafzoon mein yeh bayaan na ho paaye.

Teri meri, meri teri, Prem kahani hai mushqil,
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye.
Ik dooje se huye juda ,Jab ik dooje ke liye bane.

Teri meri, meri teri, Prem kahani hai mushqil,
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye.

Tumse dil jo lagaya ,toh jahaan maine paaya,
Kabhi socha na tha yun, meelon door hoga saaya.
Kyun khuda tune mujhe aisa khwaab dikhaya,
Jab haqiqat mein usey todna tha.

Ik dooje se huye judaa, Jab ik dooje ke liye bane.
Teri meri, meri teri ,Prem kahani hai mushqil,
Do lafzon mein yeh Bayaan na ho paaye.

Teri meri baaton ka har lamha sab se anjaana, 

Do lafzoon mein yeh,Bayaan na ho paaye.

Har ehsaas mein tu hai,Har Ik yaad mein tera afsaana,
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye.

Sara din beet jaaye, Saari raat jagaye,
Bas khayal tumhara ,Lamha lamha tadpaye.
Yeh tadap keh rahi hai mit jaaye faasle,
Yeh Tere mere darmayaan Jo hai saare..

Ik dooje se huye juda ,Jab ik dooje ke liye bane.
Teri meri baaton ka har lamha Sab se anjaana,
Do lafzon mein yeh ,Bayaan na ho paaye.

Har ehsaas mein tu hai har ik yaad mein tera afsaana,
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye.


Teri meri, meri teri ,Prem kahani hai mushqil
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye..




Lyrics of Other songs from BodyGuard:



BodyGuard Title Song Lyrics


Aey woh eid pe picture aa reli hai na!!
Kaunsi?
Bodyguard.....
Uska title song Ekdum faadu hai....
Acha hero kaun hai uska?
Teri to!!!!!!
Bodyguard
Bodyguard

Mujh par ek ehsaan karna,
Ki mujh par koi ehsaan na karna..

Feel the heat,Feel the kick,Feel the power
Feel the punch.
Feel the heat,Feel the kick,Feel the power
Feel the punch.
Bodyguard!!
Bodyguard!!

Aao ji, Baauji,Dil se dil milao ji
Aa gaya hai dekho bodyguard.

Sab se hot,sab se hard,
Jo bulaye uski waat,
Aa gaya hai dekho bodyguard.

Sabki aan, sabki shaan
Sab ka ek bhai-jaan,
Aa gaya hai dekho bodyguard.

Yeh mitaane aaya paap,
Yeh toh hai ji sabka baap,
Aa gaya hai dekho Bodyguard.

Feel the heat,Feel the kick,Feel the power,
Feel the punch.

Laakhon dil ki dhadkan,Saccha hai yeh Indian,
Aa gaya hai dekho Bodyguard.
Baajuon mein hai iske dum,Iske aage sab hai kam.
Aa gaya hai dekho Bodyguard.

Tha bus tumhara intezar,
Aaya re aaya Bodyguard.

Aao ji Baauji, Dil se dil milao ji.
Aao ji Baauji ,Dil se dil milao ji.
Aa gaya hai Dekho bodyguard.

Sabki aan sabki shaan,
Sabka ek bhai-jaan,
Aa gaya hai Dekho Bodyguard.

Feel the heat,Feel the kick,Feel the power
Feel the punch.BodyGuard.



Lyrics of Other songs from BodyGuard:


Sunday, July 10, 2011

Takleef Achi Lagti hai-Story By Neelesh Misra-Band Called Nine

Neelesh Misra


2 Baar chodd ke chali gayi mujhe,
Kya matlab hai iska yaar.
Maana dus bees safed baal aa gaye,
Maana pet flat nahi raha,
Maana husn me thodi si kami aa gayi hai,
Par,Second chance to banta hai na.

Protectively,Main apna naya visiting card,
use samundar ke kinare deke aa gaya.
Usme mera daftar ka address hai,phone number hai,
E-mail address hai,Pin Code hai,Fax number hai,
Kya pata koi hint le le,
Kya pata mind change ho jaye.
Aur agar mind change na ho,

To, kya karu,
Cigarette Sharab to peeta nahi,
Har fikr ko dhue me to udaa sakta nahi,
Haa,kuch aur sad songs likh ke bhadaas nikal lunga.

Yaar!!Hum toote dil aashiqo ki yahi problem hai,
Rote bahut hai,
Takleef achi lagti hai,
Gurudutt ke fan hai,
Devdaas ke chele.

Maine dil se kaha,
Dhoond lana khushi,
Na-Samajh laaya ghum,
To yeh ghum hi sahi.

Jao!!Jao hum na-samajh hi sahi...

You can hear the story in the voice of Neelesh Misra Here





Saturday, July 9, 2011

Shayad Main Rishto Ke Liye Bana Hi Nahi-Story By Neelesh Misra-Band Called Nine

Read previous Stories before reading this one-
Canteen ki Mej; Pyar ka Monsoon; Hamare Jhagde; Mai koi Mohabbat Ka; Aakhir Shaadi ka
Neelesh Misra


Hai na Ajeeb se,Majedaar si meri Zindagi.
Na hum Ek Saath reh paye,
Aur na ek doosre ke bina.
Ya Shayad Main Rishton ke Liye bana hi nahi.
Shayad main hamesha Sahi tha-Marriage Kills Romance!!
Maar deti hai Romance ko.
Par shayad main khud ko galat bhi Sabit karna chahta tha,
Kaash! Main galat hota.

Kuch Hafto pehle ek common friend ki shaadi me,
Meri dhadkan achanak jaise ruk hi gayi.
Mujhse dus meter door,chaar aur logo se baate karti huyi,
Hothon pe muskurahat liye,aur haatho me Red Wine ka glass pakde huye,
Wo khadi thi.
Aaj bhi utni hi khoobsoorat,
Kajal se saji uski baatooni aankhein,
Aaj bhi wahi karti huyi-
BAK BAK BAK BAK BAK BAK!!
Wahi khanakti huyi hasi,Baal shayad thode chote ho gaye the,
But Still SO BEAUTIFULL!!
Aisa lag raha tha ki jaise hum phir se college me pahuch gaye the,
Aur main usse pehli baar dekh raha tha.

Usne mujhe dekha,
Ek TeenAger ki tarah,phauran Mera haath apne baalo me gaya,
Apne Baal theek karne laga main,
Wo baccho ki tarah has padi.

Us raat hum samundar ke saamne ek coffe shop me 4 ghante baithe rahe.
Purane dosto ki tarah,beete waqto ki baatein ki.
Saath me hase,
Chauthi(4th) baar coffee order kari.
Dhai Ghante baad,Bahut himmat karke,
Maine aakhir puch hi liya-
SHAADI KI?

1 ghanta aur beet gaya,Coffee shop band ho rahi thi,
Waiters kaafi hint de chuke the,
Lights dheere-dheere off ho rahi thi.

Hum nikle aur samundar ke kinare ret par der tak nange paanv chalte rahe.
Uski saaree ka pallu ud ke mere chehre par aa raha tha.
Wo achanak mera likha huya koi purana geet gungunane lagi,
Maine kaha-Tumhe ye abhi bhi yaad hai?
Usne kaha-Mujhe Sab Yaad hai!!

Meri ungliyaan uski ungliyon ko choo gayi,
Usne kuch nahi kaha.
Lambi khamoshi ke baad,Mai Bola-
EK BEWKOOFI BHARA IDEA HAI!!
Usne sir uthake aansuo se nam aankho se mujhe dekhte huye kaha-
TUMHARE SAARE IDEAS BEWKOOFI BHARE HI HOTE HAI!!
Maine kaha-
BHAAG KE SHAADI KAR LE!!
Wo kuch second mujhe dekhti rahi,
Cycle pe coffee bechta ek ladka,Hamare order ka wait kar raha tha,
Wo boli-

Kuch pal khaamosh rahi,
Phir boli-
PYAR AUR SHAADI ME,
FARQ HOTA HAI,
HAI NA!! 

You can hear this fabulous story in the voice of Neelesh Misra Here

Aakhir Shaadi Ka-Story By Neelesh Misra-Band Called Nine

Neelesh Misra

Aur aakhirkaar ek din hamari Shaadi ka Fixed deposit toot gaya.
Wo mujhe chodd ke mumbai chali gayi.
Aakhri baar us ghar me aayi jaha hum dhed saal tak ajnabiyo ki tarah ek chatt ke neeche rahe.

Aaj is rishte me na chatt thi,na deeware,
Bas ek antheen viraana tha,
Jaise bhayanak sardi ki ek raat,jisme yaad ke lamhe,
Snow Flicks ki tarah,
Aasmaan se Dheeme-Dheeme baraste aa rahe the.

Usne laal shaul pehna tha,Kaali jeans,
Aur haatho me wahi purani HMT ki ghadi,
Jo Uske papa ne 1st Division laane par di thi.

Usne kuch Takkaluff bhari baatein kari,
Home Loan,Join Accout,Passport par mera naam,Vakeel ka number,
Wagarah,Wagarah,Wagarah.
Mujhe jaise kuch sunayi hi nahi diya,
Itne lambe waqt tak ek gair ki tarah uske saath rehen ke baawjood,
Shayad main usse pyar karna kabhi khatam hi nahi kar paaya tha.
Aur aaj uski aankhon me talki,itni talki dekh kar laga,
Ki usne shayad mujhse pyar karna kabhi shuru hi nahi kiya.

Main jaanta tha Yeh Sach Nahi tha,
Mai jaanta tha usne bhi mujhse utna pyar kiya hoga.
Wo bhi meri tarah aadhi sahi,aadhi galat rahi hogi.
Lekin jaise pyar andhaa hota hai na,
Waise hi pyar ka na hona bhi andhaa hi hota hai na.

Uski aankhon me thoda sa kaajal tha,Kaajal me thode se aansu.
Mujhe aise laga jaise,
Jaise koi cycle ke chain mere dil pe lapet ke dono taraf se kheech raha ho.

Usne mej pe ghar ki chabiyo guccha bina aawaj ke rakhha,
Maine socha main in dus chaabiyo me ek chaabi ki tarah hi to hu,
Itne saalo baad main bhool gaya hu ki mera darwaaja kaun sa hai.

Maine kaha-Milne Aaogi?
Wo boli-Hum Kuch Galat to nahi kar rahe?

Jab tak main sir utha ke kuch kehta,Wo jaa chuki thi.

6 mahine baad talaaq ho gaya,
3 saal beet gaye,
Ek din main bhi usi train me chadda,
Mumbai me naukri jo mil gayi thi.
Kaun jaane wo kaha thi,
Kaun jaane wo shehar use kaha khaa gaya tha.
Phir se shaadi kar li hogi kya?
Boy-Friend hoga kya?
Jitna pyar mujhko diya,Usse bhi jyada usse pyar karti hogi kya?
Waise hi Baandhni ka Rajasthani Suit pehan ke Laal bindi lagati hogi kya?
Waise hi baarish ko dekh ke Mujhe yaad karti hogi kya?
Abhi bhi purani filmein dekh ke betahasha roti hogi kya?

Ek din achanak Band Stand pe Samandar ke kinare walk karti huyu uski saheli mili,
Boli wo ab bhi yahi hai,
Ab bhi akeli.
Ab bhi Diwaali me tumhe yaad karti hai.
Safaaya college me lecturer hai.
Wahi hostel me rehti hai,Kamra no.27.

Garmi ki dopahar thi,Ek sunsaan college ke ek sunsaan hostel me,
Main kamra no 27 ke saamne khada tha,
Khat-Khataya,Koi nahi tha.
Seediyo par 2 ghante baitha raha,
Phir Visiting card uske darwaaj pe phasa ke aa gaya.
Uspe likha-I CAME,MIGHT RETURN!!
MAI AAYA THA,SHAAYAD WAPIS AAYU.

Phir kabhi wapis nahi ja paaya.
Suna hai kuch saalo pehle usne aakhirkaar,
Visiting Card Jala Diya.....

You can hear the story in the Voice of Neelesh Misra Here

Friday, July 8, 2011

Main Koi Mohabbat Ka-Story by Neelesh Misra-Band Called Nine

Band Called Nine

SPOILER ALERT: Read HAMARE JHAGDE before proceeding Further.

Lekin,Sapna bikhar raha tha,
Agar hamari Shaadi ek fixed deposit thi,
To mohabbat ke bank account se,Kharcha bhi badi teezi se ho raha tha.
Aur jama karne ke liye hamare paas,
Jaise kuch nahi bacha tha.

Aisa lagta tha jaise har roz hum ek doosre ke saath,
Dus-Dus minute kam bitatae the.
Jaise jaise waqt guzra,yun lagne laga ki,
Humne Ek doosre se nahi,Apne Apne bossess se shaadi kar li thi.

Pehle hafte me hum 2 din saath bitate the,
Phir ek,Phir aadha,Phir kuch bhi nahi.
WO apne office me der tak rehti,Mai khana akela khata.
Wo shopping mall saath jaati,Ghanto make-up khareedti,
Aur main bench par akela baitha rehta.
Na hum haath pakadte,Na ek doosre ko din bhar ki choti-choti baatein batate.
Na baarish me lambi drive par jaate.
Na hum dost reh gaye the,aur na husband-wife.
Hum shayad flat mates bhar the,
Jo saath me Tv par,Sci-Fci aur Romantic Comedies dekhte the.
Thodi bahut baat kar lete the,
Aur phir apni apni Duniya me wapis chale jate the.

Waise yaar sirf usi ko kyu blame karu,
Aisa nahi tha ki main koi Mohabbat ka Mother Teressa tha,
Main moodi tha,Jhakki tha,
Kabhi Akelapan pasand karta tha,
Aur kabhi uska saath na hone pae naraz hota tha.
Bikharte huye rishte pe ranj karta tha.
Apni tanhayi se haar raha tha,
Doosro ka saath dhoondne laga tha.

Daftar me 2 -3 ladkiyan thi jo mujhse kuch jyada hi baatein karti thi.
Unse main kuch jyada hi baatein karne laga tha.
Ab to unke saath coffee pe jate huye bhi ajeeb nahi lagta tha.
Wo choti-choti baatein jo main usse karna chahta tha,
Wo lamhe jo uske saath baatna chahta tha,
Ab unke naam likhne laga gaya tha.

Jaise hamari shaadi ka rishta ek rang biranga sweater ho,
jiski oon dheer-dheere udhad rahi thi.
Kabhi khud se naraaj hota tha,
Kabhi usse.
Aksar Guilty Mehsoos karta tha,
Mera ek mann jaise sawaal uthata tha,
Waise hi doosra mann jawaab dene lag jaata tha.
Is shaadi me ab jaise ek hi insaan bacha tha,
EK akela main.

Shayad wo bhi aisa hi mehsoos karti hogi,
Shayad uski bhi kuch Zayaz shikayate hongi.
Shayad wo bhi Akeli hogi,
Utni hi Tanha.

May ka mahina,
Office ke saamne,ek building me ek aurat,
Achaar ke liye nimbu sukha rahi thi.
Maine phone uthaya aur ek number dial kiya.
Maine kaha-
HELLO!!
MAA!!MAIN BOL RAHA HU....

You can hear the story in the voice of Neelesh Misra Here

Thursday, July 7, 2011

Hamare Jhagde- Story By Neelesh Misra-Band Called Nine

Rewind-Nine Lost Memories

WARNING :-Read Further only if you have read the earlier stories-
 CANTEEN KI MEJ And PYAR KA MONSOON

Shaadi ho gayi,Na uske mummy papa shaadi me aaye,Na mere.
Baat dil todne waali thi,unke liye bhi,aur hamare liye bhi.
Raato-Raat jaise kisi pahuche huye karigar ne,
Hum sab ke ird-gird dard ki deeware khadi kar di ho.
Kaash!! Deewar nahi hoti,
Kaash!! Dard ka koi aaena hota,
Kaash!! Hum doosre ke dil ki takleef bhi utni hi shiddat se samajh sakte,
Jitni apni.

Shaadi ka reception ded hajaar(1,500) rupaiye mahine wale,
1 room apartment me 6 dosto ke saath huya.
Zari wali Banarasi Saaree pehne na koi chachi thi,na maami.
Na gusse me tamtamaate huye papa yeh kehte ki-Abhi Tak Tent Wala Kyu Nahi Aaya?
Na badi badi Dulha-Dulhan ki kursiyaan.
Na Sangeet,Na Dholak,Na Shehnaayi.
Aur boss,Catering ke naam pe Bas dher saari Biryaani,Shahi Paneer aur Coca-Cola.

Sharab me happy drunk ek yaar ne kaha-GURU,Teri Life ka Fixed Deposit to ho gaya,
Mera to Abtak account hi nahi khula.

2 saal beet gaye,Hamare account me bhi kuch paise aa gaye the,
Maruti le li.
Promotion huya,Mobile phone bhi mil gaya daftar se.
Phir ek chota sa-khoobsoorat sa-apna sa ghar khareed liya.
Diwali pe greh-pravesh huya.
Mummy papa ki kami bahut mehsoos huyi,
Par phone utha ke wo ek number dial nahi kar paya.
Gusse me,Gusse me hum kitne battameej ho jate hai,Nahi.
Aur Naraajgi aur Ego,Rishtoo ke sabse bade dushman hote hai Na.

Naraajgi aur Ego hum dono ke beech me bhi aane lagi thi,
Wo mujhe aksar yaad dilati thi ki,
Usne mere liye sab kuch chodd diya tha.
Mai palat ke kehta-Afsos kar rahi ho kya?
Wo BomBay wala Rishta hi acha tha,Yahi soch rahi ho kya?
Wo kehti-Maine tumse jyada negative insaan aaj tak nahi dekha.
Kya tum din-bhar jhagadne ke naye naye bahane sochte rehte ho,
aur shaam ko mujhpe try karte ho.

Par Hamare Saare Jhagde Expiry Date ke saath aate the,
Wo ladti,Darwaaja Slam karke chali jaati,
Main ghanto gusse me,apne kop-bhavan me,
Computer ke saamne baitha rehta.
Phir dheere se,doosre kamre me usko Sms karta-
I AM SORRY BABY!!

Wo aati, halke se muskurati,aur peeche se mujhe thaam ke kehti-
ULLU!!
Yeh sach tha,hamare beech chahe jitne darwaaje slam huye ho,
Uske baawjood bhi,main abhi bhi wahi tha-
Usse roottha,use manata,der tak uske sang jaagta.
ULLU.
You can hear the story in the voice of Neelesh Misra Here

Tuesday, July 5, 2011

Canteen Ki Mej-Story by Neelesh Misra

Neelesh Misra

Oye Yaad hai Canteen ki mej kitna hilti thi,
Mujhe roj lagta tha, kahi uske dupatte pe Chai na gir jaye.
Adrak ki chai use bhi pasand thi,Mujhe bhi.
Meri kavitaaye use bhi pasand thi,Mujhe bhi.
Kitne ghamandi ho tum,kehti thi,phir hasti thi,
Kohre ke din uski hasi aur bhi khoobsoorat lagti thi.
Class me mere bagal me baiththi thi,central library mere saath jaati thi,
aur ye ashoka the great to jaise pen friend ho uska,history vistory sab jaanti thi.

Ladke use impress karne ke liye cigarrete ke challe banate the,
wo kehti-ladke itni cigarrere kyu peete hai,
mai kehta-boss, unke aur cancer ke beech aane wala mai kaun hota hu.

Uske dil me kya hai yeh kabhi jaan nahi pata tha,
lekin mere dil me kya hai,iski headlines roj usko milti thi.

Main usse kehta,kabhi diwali pe hum ek saath ek hi chat pe diye jalaenge.

Main kehta, kabhi tumhe apne saath rudr prayag le chalunga,
waha ek chota sa mandir hai,chori se shaadi kar lenge.

Main kehta,tumhe andaaza hai ,
meri maa tumhe is laal bindi me dekh ke kitna khush hoki.

Main kehta,college me koi 10 20 saal lamba course nahi hota kya?
Saath me admission le lete......

You can Listen the Story in the voice of Neelesh Misra Here


LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...